Saturday, October 31, 2015

Abh kis ka intezaar hai, utto Sakina ghar chalo

Abh kis ka intezaar hai, utto Sakina ghar chalo
Tum par phupi nisaar hai, utto Sakina ghar chalo

Shaam-e-gharibaan agayee, ghum ki seeaee chahgayee
Bajte hain baaje foj main, khatm larayee hogayee
Lootne ka intezaar hai, utto Sakina ghar chalo

Beythi ho Bibi khaak par, utto eh meri neem jaan
Amoo tumhare khuld se, lene na aayenge yahan
Kesa yeh haal zaar hai, utto Sakina ghar chalo

Nanni si jaan par isqadar, shimr laeen ki sakhtiaan
Sooje hoowain hain hownt bhi, poohli hoowi hain oongliyaan
Damand bhi taar taar hai, utto Sakina ghar chalo

Sarpe he shab ki teergee, kab tak yahan par ro ogi
Baba ka tan kuchul gaya, seene pe kisske so ogi
Zakhmi vo jism zaar hai, utto Sakina ghar chalo

Amoo tumhare nehir par, shaane kata ke soh gaye,
Baba ko dhoondh thi ho kya, Baba bhi run main soh gaye
Ek hashr ka shikaar hai, utto Sakina ghar chalo

[ Urdu Lamentations: Nohay, Salaam, Marsia, and more | Duas & Amaal ]