Sehdaaniyaan thi muztar, chehre the zard ghum se
Zainab lipat ke royeen, Abbas kay alam se
Lipti hoowi alam se, kehti thi binte Zehra
Iss waqt bekassi main, Abbas bichre hum se
Bachi ne maa se poocha, kyuun itna rorahee ho
Amoo nahi milaingain, kya pihr na aake humse
Baba Chacha kahan hain, laye ho kyun alam ko
Yeh pooch thi thi bachi, lipti shahe umam se
Abbas margaye hain, sunkar khabar yeh Sheh se
Tasveer-e-yas-o-hasrat, har Bibi thi alam se
Ulfat ki aur wafa ki, zinda misaal bankar
Mashqay Sakina abh bhi, he munsalik alam se
Bhai se bhai bicheray, jisska to usski haalat
Dard aashna se poocho, ya pihr Anees-e-ghum se