Saturday, October 31, 2015

Karbal ki kahani jab koi bhi sunayega

Karbal ki kahani jab, koi bhi sunayega
Dil waalon ki ankhon se, eyk daria bahaega
Zehra Zehra masoomon ka pursa lo

Vo caravan sarwar ka, jo shaan se nikla tha
Sughra ko khabar kya thi, na lowt ke ayega
Zehra Zehra pursa lo shaheedon ka

Mehmaan bulaaya hai, eh koofion sarwar ko
kya qunba shahedeen ka, paani nahi payega
Zehra Zehra pursa lo bahatar ka

Jab ghoron ki tappon se, pamal huway Qasim
Kiss tarha chacha teri, mayyat ko uthayega
Zehra Zehra Qasim ka bhi pursa lo

Tha shaano ke katna ka, kuch ghum na dilawar ko
Seydaaniyon ka parda, abh kaun bachayega
Zehra Zehra Abbas ka pursa lo

Tooti hai kamar Sheh ki, ghubhrana nahi Akbar
Farzande-e-Nabi tere, lashe ko uthayega
Zehra Zehra Akbar ka bhi pursa lo

Sote na the tum Asghar, jhule main tarapte the
Duniya ko khabar kya thi, ek teer sulayega
Zehra Zehra Asghar ka bhi pursa lo

Sarvar ne uthayee theen, sabh saathiyon ki laashen
Shabeer tera laasha, abh kaun uthayega
Zehra Zehra Shabeer ka pursa lo

https://youtu.be/AsWC66iDmZ0




[ Urdu Lamentations: Nohay, Salaam, Marsia, and more | Duas & Amaal ]