Saturday, October 31, 2015

Rokar Sakina Shaam ke zindaan main margayee

Rokar Sakina Shaam ke zindaan main margayee
Bano ke dil pe goya qayaamat guzar gayee

Aal-e-Nabi pe tooti, qayaamat thi Shaam main
Abbas ki chahiti, Sakina guzargayee

Shimr-e-layee ne cheene, the gohar kuch is tarha
Nanni kameez khoon main, Sakina ki bhar gayee

Zainab tarap ke reh gayeen, poocha Sakina ne
Sar se phupi tumhare, rida kyun uttar gayee

Zindaan main jab Sakina, ne paya sar-e-Hussain
Moon par pidar ke moon ko, rakha aur margayee

Abto Yazid soyega raton ko chain se
Roti thi rozo shab jo, vo bachi guzar gayee


https://youtu.be/T8jIw19a4bg




[ Urdu Lamentations: Nohay, Salaam, Marsia, and more | Duas & Amaal ]