Wednesday, November 4, 2015

Rukjao aye Sakina

Tumse bichar ke ma ka
Mushkil bohot he jeena
Ma ko bhi saat lelo
Rukjao aye Sakina

Har simt he andhera,
Har raha purkhatar he
Dushman he chaar jaanib, dil main chupaye keena
Rukjao aye Sakina

Kah kah ke tum tamache,
Ghabra gayee ho shayad
Taa shaam seek jao, bhi aasoo on ko peena
Rukjao aye Sakina

Aajao me sulaadoon,
Sar zanoo on pe rak kar
Zakhmi bohot he bibi, tere pidar ka seena
Rukjao aye Sakina

Amoo ko jaane madar
Iss tarha muth sada do
Abbas ki jabeen par, ajayega paseena
Rukjao aye Sakina

Rukh par lahoo jama he
Kaano se khoon he jaari
Beta tarap utteyga, jaane shahe Madina
Rukjao aye Sakina

He qaide shaam ki abh,
Tanhaiyaan muqaddar
Bibi naseeb tere, meh abh nahi Madina
Rukjao aye Sakina

Yeh bekassi yeh ghurbat
Yeh dasht nenava ka
Dooba kahan he aakar, taqdeer ka safina
Rukjao aye Sakina

Ma ko bhi saat lelo
Rukjao aye Sakina


https://youtu.be/z7uai9XRjf0




[ Urdu Lamentations: Nohay, Salaam, Marsia, and more | Duas & Amaal ]