Jab tak he dowre aasmaan
Sunle ye har teer-o-jawaan
Awaaz par shabeer ki, bartha rahe ye carvaan
Rukne na paaye yeh qadam
Ooncha rahe apna alam
Har qalb par chahte chalo
Duniya ko batlaate chalo
Ek ek mahaazir zulm ki, tasveer diklate chalo
Har dil main bhardo, Sheh ka gham
Ooncha rahe apna alam
Kab tak na maane ga koi
Vo waqt aaye ga kabhi
Har qalb par chah jayega, apna Hussain ibne Ali
Is dhar pe har sar hoga khum
Ooncha rahe apna alam
Jab bhi koi mushkil pari
Duniya isi dar par jhuki
Seeno se balkahkar idhar, uthi sada-e-ya Ali
Nikla udhar baatil ka dum
Ooncha rahe apna alam
Ye parcham-e-Abbas he
Toote dilon ki aas he
Abtak isi parcham thale, zinda kisi ki pyaas he
Jisne sahe laakhon sitam
Ooncha rahe apna alam
Abbas he naam-e-wafa
Aghaaz-o-anjaam-e-wafa
Moon morr ke daria se jo, peeta raha jaam-e-wafa
Hothey rahe baazoo qalam
Ooncha rahe apna alam
Vo teer-e-baani-e-jafa
Masoom ka nanna galaa
Islam zinda kargayi, Asghar ke marne ki ada
Hasskar saha teer-e-sitam
Ooncha rahe apna alam
Zinda he halmin ki sadaa
Mitt tha nahi khoon ka likah
Shabeer ka haq ki qasam, ek mojsa-e-karbala
Yeh silsila hoga na kam
Ooncha rahe apna alam
Eh nawjawana-ne-azaa
Tum ho kissi dil ki dua
Ta hashr utt-thi hi rahe, seeno pe matam ki sada
Qaayam rahe Akbar ka ghum
Ooncha rahe apna alam
Jab karbala yaad aayegi
Insaniyat sharmayegi
Mazloom ki awaaz he, dil me utarti jaayegi
Paltein gain pihr behke qadam
Ooncha rahe apna alam
Zinda ye bedaari rahe
Yeh silsila jaari rahe
Hum ho na ho is bazm me, qayam azadari rahe
Nikle isi chokat pe dam
Ooncha rahe apna alam