Wednesday, February 17, 2016

Sughra Ne Likha Khat Me

Sughra ne likha khat may ke, Zehra ke dil-o-jaan
Aadaab baja laati hai, beti shahe zeeshan

Amma ki judaayee ne mera chain he loota
Hazrat ki judaayee he mere qatl ka samaan

Mai koan tumhari hoon jiyoon ya ke maroon mai
Aye bhool ne walon mera koi nahi pursaan

Bhaiya Ali Akbar to mujhe bhool hee beythay
Kya aap bhi beti ko bhula beythay chacha jaan

Aana ho to aajao abhi jaan hai baaqi
Surat ko taras te hain mere deeda-e-hairaan

Farmaee yeh Akbar se meri simt se Baba
Bhaiya ye behan aap ki kuch din ki he mehmaan

Hasrat he ke Akbar ki balaa leke maroon mai
Hangam-e-nazha aap ka haathon may ho damaan

Haathon pe chacha jaan ke ho mera janaza
Kaandha mere taboot ko de Akbar-e-Zeeshan

Afsos ke tab pohncha magar Qasid-e-Sughra
Jab lut chuka tha qafilaye Sarwar-e-Zeeshan

Seene pe sina kaye pare teh Ali Akbar
Hathon ko kataye tha para Bazoo-e-Sultan

Ek teer se pehlu Ali Asghar ke laga ta
Turbat pe buka karte the baythe Shah-e-Zeeshan

Khat parke jigar paht gaya Farzand-e-Nabi ka
Qasid se kaha yaan he mere qatl ka samaan

Abbas-o-Ali Akbar-o-Qasim gaye maare
Teeron ka sitam jhel gaya Asghar-e-nadaan

Mai teen shab-o-roz ka pyassa hee maroonga
Pani pe mera fateha dilwana meri jaan

Ab saat tumhare hain duaein meri Sughra
Ab tera khuda hafiz-o-nasir ho meri jaan

Sughra ne likha khat me...


https://youtu.be/qnugpSYUZ_E




[ Urdu Lamentations: Nohay, Salaam, Marsia, and more ]