Zibha Ba Maidaan

Eh Ali Akbar, Eh Ali Akbar, Eh Ali Akbar
Shabih-e-Payambar Akbar (2)
Zibha ba maidaan
Shabih-e-Payambar Akbar (2)
Zibha ba maidaan

Yeh Sibte Payambar ki, Layla ki kamaee hai
Kya madar-e-Akbar ne taqdeer yeh paee hai
Khaymo me bapa mathum (2)
Eh mere jawaan Akbar
Zibha ba maidaan

Jo naazon ka paala hai, attara baras wallaa
Laila ka dulara hai, attara baras wallaa
Khaymo me bapa mathum (2)
Eh mere jawaan Akbar
Zibha ba maidaan

Socha bhi na tha ma ne ye din kabhi ayega
Marne ke liye Akbar, maidaan me jayega
Khaymo me bapa mathum (2)
Eh mere jawaan Akbar
Zibha ba maidaan

Kahega kaleje par, jiss waqt sina Akbar
Yeh teri khabar sunkar, marjayegi ma Akbar
Khaymo me bapa mathum (2)
Eh mere jawaan Akbar
Zibha ba maidaan

Peeree hai naqa-ath hai, aur sibte Payambar hai
Farzand ki mayyat hai, aur sibte Payambar hai
Khaymo me bapa mathum (2)
Eh mere jawaan Akbar
Zibha ba maidaan

Pihr kon bachaega, karti thi buka maadar
cheenaynge laeen akar, jab sar se meri chaadar
Khaymo me bapa mathum (2)
Eh mere jawaan Akbar
Zibha ba maidaan

Beta na kissi ka yoon, marjaye jawaani me,
Matam ki sadaein hai, dariya ki rawani me
Khaymo me bapa mathum (2)
Eh mere jawaan Akbar
Zibha ba maidaan