Qabr main daagh-e-ghame sibte payambar legaye

Hum andhere main charaagho, ka ye lashkar legaye
Qabr main daagh-e-ghame sibte payambar legaye

Pihr na dekhe aasmaan ne, aaj tak aise jari
Karbala main choon, ke sheh jaise bahattar legaye
Qabr main daagh-e-ghame sibte payambar legaye

Waha re qismat na choota, markay dar shabbir ka
Haq ke daabaani, habib-ibne mazahar legaye
Qabr main daagh-e-ghame sibte payambar legaye

Ek din ki thi alamdaa,ri-e-shaahe karbala
Hashr taak ohdaa, ye abbas-e-dilawar legaye
Qabr main daagh-e-ghame sibte payambar legaye

Zulfiqare hyderi jab, farqe marhab par chali
Ek nishaani zarb, ki jibreel ke par legaye
Qabr main daagh-e-ghame sibte payambar legaye

Baade sheh jab lootne aa,ey haram ko ashqiyaan
Dur sakina ke, sare zainab se chadar legaye
Qabr main daagh-e-ghame sibte payambar legaye

Shaaha kehte thay ke jeene, ka maza jaata raha
Zindagi ka lutf, abbas-e-dilawar legaye
Qabr main daagh-e-ghame sibte payambar legaye

Khoon ke aansu bahati, hi rahi binte ali
Aur naizay par, layeen shabbir ka sar legaye
Qabr main daagh-e-ghame sibte payambar legaye

Yaad jab bache ki aati, thi tho kehti thi rabab
Maa ke dil ka chain apne, saath asghar legaye