Yeh Matam Sada Rahay

Ye matam sada rahay, aur iss sai siva rahay
Ye farsh-e-aza-e-Sibte Nabi, taa mehshar bicha rahay
Ye matam sada rahay, aur iss sai siva rahay

Kitni hi utai, zulmat ki ghata
Ho kitni hi tareek fiza
Bujhnay nahi paaey shammay aza
Kitnay hi uthain toofaan magar roshan yai diya rahay
Ye matam sada rahay, aur iss sai siva rahay

Aik nasal hatay, aik nasal barhay
Aik shamma bujhay aik shamma jalay
Shabbir ka matam hota rahay
Naslam baaday naslin yoonhi, jaari silsila rahay
Ye matam sada rahay, aur iss sai siva rahay

Kat thai rahain sar, luthay rahain ghaar
Dhaati rahai duniya zulm magar
Chootai na kabhi Shabbir ka ghaar
Shabbir kai gham sai aalam ka, har gosha sada rahay
Ye matam sada rahay, aur iss sai siva rahay

Yai zulm-o-sitam, yai jor-o-jafa
Kya rokain gain rasta tera
Barh aur do alaam parchah ja
Ta arsh zameen par chaee huwi, matam ki ghata rahay
Ye matam sada rahay, aur iss sai siva rahay

Gham khuwaar-e-Shah-e-Abrar hai hum,
Baatil kai liyai talwaar hai hum,
Tareekh ka wo kirdaar hai hum,
Marsaktay hain mit saktay nahi, zehnon main zara rahay
Ye matam sada rahay, aur iss sai siva rahay

Hum palthe rahay toofanon main
Behthe rahay khoon ki dhaaron main
Choonwaaey gaey deewaron main
Khud mitgaey baani-e-zulm magar, hum ehlay-aza rahay
Ye matam sada rahay, aur iss sai siva rahay

Khoon-e-dil sai, haan ehlay aza
Har moar sai ta’aba karbobala
Roshan rakoh aik aik zarra
Har aanay walay Hurr kai liyai, yai rasta kuhla rahay
Ye matam sada rahay, aur iss sai siva rahay

Kitnon kai chehrai utar gaey
Yai hukm jub aaya jis jis kai
Masjid main hain khultai darwaazay
Sab band hon bas aik Zahra ka, darwaaza kuhla rahay
Ye matam sada rahay, aur iss sai siva rahay

Thahk haar kai laskhar loat aaya
Sar maar gaey khaibar na huwa
Di hans kai sada Ahmad nai kai aah
Eh dast-e-khuda dar khaibar kai, hain tuj ko bularahay
Ye matam sada rahay, aur iss sai siva rahay

Sookhay huway labh, halmin ki sada
Tareekh bhula sakti hai bhala
Kya alam-e-ghurbat hai ba khuda
Hai kon sitam seh kar itnai, raazi ba raza rahay
Ye matam sada rahay, aur iss sai siva rahay