Hussein tere lahoo ki khushboo
Falak ke damand se arahee hai
Yeh khoon-e-nahak chupega kyunkar
Jisse yeh duniya chupa rahee hai
Ghareeb maula ki bekasi pe
Ghareeb maula ki bebasi pe
abhi talak woh zameene karbal
lahoo ke aasoon baha rahi hai
Hussein tere lahoo ki khushboo
Falak ke damand se arahee hai
Ajab nahi sheh ne waqt-e-aakhir
kaha ho Abbas-e-zee hasham se
uttho eh mere jawan biradar
tumhe Sakina bula rahi hai
Hussein tere lahoo ki khushboo
Falak ke damand se arahee hai
Hussein lashe jawan ko lekar
chalein hain makhtal se suey khema
magar zaeefee qadam qadam par
uttha rahee hai, bitah rahee hai
Hussein tere lahoo ki khushboo
Falak ke damand se arahee hai
Padar ke hathon pe teer kahkar
ayan hoowi jo luboon pe Asghar
vohi to halki see muskurahat
jahan ko abtak rula rahee hai
Hussein tere lahoo ki khushboo
Falak ke damand se arahee hai
Ajab hai yeh karbala ka manzar
rawaan he sheh ke galey pe khanjar
zamana karwat badal raha hai
Sakina aansoon baha rahee hai
Hussein tere lahoo ki khushboo
Falak ke damand se arahee hai