Alvida, Alvida, Alvida, eh Hussain

 Alvida, Alvida, Alvida, eh Hussain


Yeh sada-e-fughan aur ye majlise

matamo nauha aur gham ki ye zeenate

chahata hai yeh dil yuhin qayam rahe

aah paht-ta hai dil kis tarha ye kahe

Alvida, Alvida, Alvida, eh Hussain


Mere mehmaan hai aakhri ye salaam

Tujhpe qurban hai aakhri ye salaam

Shahe zeeshan hai aakhri ye salaam

Dil hai veeran hai aakhri ye salaam

Alvida, Alvida, Alvida, eh Hussain


Baksh de hogayi ho jo koi khata

Haqqe qidmat na humse ada hosaka

Gham yehi hai na ji bhar ke matam kiya

Teri khaatir na kyun apna sar dediya

Alvida, Alvida, Alvida, eh Hussain


Gar jiye saal bhar pihr karenge ye gham

Royenge pihr tere gham may milkar ba-ham

Aur agar margaye to ye hoga alam

Haaye afsos jee bhar ke roye na hum

Alvida, Alvida, Alvida, eh Hussain


Alvida eh Hussain eh Hussain alvida

Alvida eh Shahe mashraqain alvida

Binte Ahmed ke eh noore-ain alvida

Hai Mujahid ke lab par yeh bain alvida

Alvida, Alvida, Alvida, eh Hussain