Goonj rahi hai yeh sada, Ya Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain


Goonj rahi hai yeh sada, Ya Hussain

Tujhko laeenon ne sataya, Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Teen shab o roz ka pyaasa Hussain

Dasht-e-bala mein tujhe maara, Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain


Bhej ke khat tujhko bulaya gaya

Tera watan tujh se churaya gaya

Qabr se nana ki hataya gaya

Reh raway tasleem-o-riza Ya Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain


Bayat e batil ke talabgaar thay

Zulm o sitam ke liye tayyar thay

Kitne tere sar ke kharidar thay

Tune magar sar na jhukaya, Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain


Karbobala gher ke laye tujhey

Tere aziz o rafaqa saath thay

Nehr se khaimey bhi hataye gaye

Guzr zara bhi na hua, Ya Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain


Dasht mein thodi si jagha mil gaye

Amad e aada se zameen hill gaye

Aur nazar jab soo e sahil gaye

Uspe laeeno ka tha saaya, Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain


Suboh dahum ka ho bhala kya bayaan

Dene laga jab tera Akbar azaan

Jaise thi awaaze nabi begumaan

Karbobala thi ke Madina Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain


Saaniye Zehra ka bura haal tha

Jab ke tadaruk na koi ban pada

Auno Mohammad ko fida kar diya

Us pa bhi tu bach na saka ya Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain


Fauje Hussaini may bara josh tha

Tune bhi pyaso ko sahara kiya

Saaniye Haider ko alam dediya

Sab ne unhe faqr se dekha Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain


Haaye muhibbe Shahe aAli maqaaam

Jinka Habib Ibne Mazaahir hai naam

Zainabe dilgeer ne bheja salaam

Tumne gale unko lagaya Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain


Suye Imam ek namazi barha

Dil se basad shaan e niyazi barha

Fauje udoo se Hur e ghazi barha

Aake qadam-bosh hua ya Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain


Madare Qasim ka jigar dekhiye

Jazbaye emaan ka asr dekhiye

Bhej diya ran may pisar dekhiye

Jo hua pamaale jafa ya Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain


Hazrate Abbas bhi marne chale

Nehr par Jarraar ke shaaney kate

Thaam ke aap apni kamar reh gaye

Hogayi chup roke Sakeena Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain


Asghar e BeSheer par jaane fida

Khaiche huey teer badha hurmala

Qatta kalaam e Shah e Wala hua

Soo e Falak aap ne dekha, Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain


Phir to ajab hashr bapa ho gaya

Ek ke baad ek fida hogaya

Dekhte hi dekhte kya hogaya

Ab koi nasir na raha ya Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain


Dhal gaya din aur qareeb aaye shaam

Phir to akaley thay Shah e Anaam

De diya Sar, khatm kiya apna kaam

Deen e Nabi khoob bachaya, Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain


Hogaye ruqsat jo shabi-e-Rasool

Ab Shahe bekas thay bahot dil maloool

Aayi kahin se ye sadaye batool

Mai teri himmat pe fida ya Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain


Goonj rahi hai yeh sada Ya Hussain

Tujhko Laeenon ne sataya, Hussain

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain