Yeh qaid mein Ali Akbar ki maa ka naala hai
Nahi woh chand jo ghar ka mere ujala hai
Merey jawan ko, naizon se maar daala hai
Kaleyja tor ke barchi ka pahl nikala hai
Ghazab hai laash ko ghoron se rondh daala hai
Yeh qaid mein Ali Akbar ki maa ka naala hai
Batao logon usey dhoondney kidhar jaoon
Main apney Akbar e mehroo ko kis tarha paoon
Miley to apney kaleyjey se usko liptaoon
Woh margaya hai yeh kis tarha dil ko samjhaoon
Aray kahan mera attahra saal wala hai
Yeh qaid mein Ali Akbar ki maa ka naala hai
Khuda ke waastey abh rann se ao eh Akbar
Laeen satatey hain aaker bachao eh Akbar
Kuhley saron pey ridayein urhao eh Akbar
Puhpi ke haal pe ab rehem khao eh Akbar
Tarap ke kehti theen kin kin dukhon se paala hai
Yeh qaid mein Ali Akbar ki maa ka naala hai
Batao sabr karey kistarha dil e madar
Shabeehe Ahmed-e-Mukhtaar they tumae dilbar
Tumharey ghum mein merey dil pe chaltey hain khanjar
Tumharey baad jahan se gaye Ali Asghar
Malaal doona hai, dil ko qalaq dobaala hai
Yeh qaid mein Ali Akbar ki maa ka naala hai
Yeh qaid mein Ali Akbar ki maa ka naala hai
Nahi woh chand jo dil ka mere ujala hai