Khudahafiz Khudahafiz
Hai ruqsat ki gharhi, ay karbala walon
Khudahafiz Khudahafiz
Salaam-e-aakhri
ay karbala walon
Khudahafiz Khudahafiz
Na hum se ho saka kuch bhi ada haq mezbani ka
Hai ye sharmindagi
ay karbala walon
Khudahafiz Khudahafiz
Tumhare saath zehra bhi yahan tashreef laayin thi
Yeh izzat bhi mili
ay karbala walon
Khudahafiz Khudahafiz
Hamare ghar ki ronaq bhi tumhare saath jaati hai
Udaasi cha gayi
ay karbala walon
Khudahafiz Khudahafiz
Tumhare ghum main rote rote marjaate to acha tha
Ye hasrat rehgayi
ay karbala walon
Khudahafiz Khudahafiz
Kisi soorat behelta hi nahi dil kaise behlayein
Ajab hai bekali
ay karbala walon
Khudahafiz Khudahafiz
Pihr aglay saal hum yuhin safay matam bichayenge
Rahi gar zindagi
ay karbala walon
Khudahafiz Khudahafiz