Khoon ke aansoo lahoo lahoo ye manzar tere naam
Tapti rethi be-sar laashe, sarwar tere naam

Chala abu talib ka beta, aayi nidaye ghaib
Farshe nabi par sone wale, kheybar tere naam
Khoon ke aansoo lahoo lahoo ye manzar tere naam
Hass kar boli binte asad se, kaabe ki deewar
Sher ki dukhtar sher ki maadar, ye ghar tere naam
Khoon ke aansoo lahoo lahoo ye manzar tere naam
Teri ghulami rashke ameeri, waha teri taqdeer
Aal ki khidmat deen ki nusrat, qambar tere naam
Khoon ke aansoo lahoo lahoo ye manzar tere naam
Ghurbat main jaan de di lekin, damane aal na chora
Haq ki rifaaqat faqr ki daulat, abuzar tere naam
Khoon ke aansoo lahoo lahoo ye manzar tere naam
Kaisi chain ki neend aayi hai, talwaron ke neeche
Sone wale aaj nabi ka, bistar tere naam
Khoon ke aansoo lahoo lahoo ye manzar tere naam
Sehre ka armaan hai dil main, maa ko kya maloom
Maut jawani ne likh di hai, Akbar tere naam
Khoon ke aansoo lahoo lahoo ye manzar tere naam
Sar nange hai jaane waali, baazaare koofa main
Qudrat ne tatheer ki likh-di, chadar tere naam
Khoon ke aansoo lahoo lahoo ye manzar tere naam
Chand sa chehra khoon main ghalta, baap ka baazu zakhmi
Pyas ki shiddat maut ki lazzat, Asghar tere naam