Chut ke qaid se abh agayee hoon main, eh Hussain
Jisko chaahate tum vohee hoon main, eh hussain
Chut ke qaid se abh agayee hoon main, eh Hussain
Main vo hee hoon Zainab e zaavil karaam
Jiske baap bhai dono thay imaam
Jiske parde ka tha itna ehtamaam
Jiske laane me kiya tha intezaam
Dar badar barehena sar pihri hoon main, eh hussain
Chut ke qaid se abh agayee hoon main, eh Hussain
Ek din thi baam par main mahave khaab
Farq se sarak gayee chadar shithab
Subho na huee na nikla aaftab
Kal thee izzat aaj hoon main benaqab
Fatima Zehra ki ladli hoon main, eh hussain
Chut ke qaid se abh agayee hoon main, eh Hussain
Utto utto bhai der kyon lagao
Aun-o-mohamad ko saath lete aao
Ham shabeeh-e-mustafa ko bhi bulao
Keh do saqqe se bahan ke paas aao
Jaagte nahi jaga rahi hoon main, eh hussain
Chut ke qaid se abh agayee hoon main, eh Hussain
Utto utto bhai ke fidaeeyon
Thorke neyaam pehko bhaiyon
Eh mujaahideen-e-karabalaiyon
Utto mustafay-e-murtazaeeyon
Sab chalo madine jaa rahi hoon main, eh hussain
Chut ke qaid se abh agayee hoon main, eh Hussain
Eh hussain ke muhibo peeto sar
Zainab-e-haazeen patak ke apna sar
Aake gihr pareen akhi ki qabr par
Keh rahi hain ye akhi ki qabr par
Utto bhayya qunba la rahi hoon main, eh hussain
Chut ke qaid se abh agayee hoon main, eh Hussain