Haaye Hussain pyaase Hussain
Damishk main jo ghareebon ka qafila pahoncha
Yazeede nahes ne darbar me bula bheja
Behen se sheh ki shahadat ka waaqeya poocha
Tarap ke binte Ali ne yazeed se ye kaha
Zameen ki goad me Islam ka sitara hai
Mere ghareeb ko lakhon ne milke mara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain
Kaha yazeed se Zainab ne eh sitam aara
Ghazab kiya tere lashkar ne roze Ashura
Mere Hussain ko jungle me gheyr ke mara
Ali ka kardiya barbaad ghar ka ghar saara
Jo beqafan hai abhi tak nabi ka pyaara hai
Mere ghareeb ko lakhon ne milke mara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain
Na marte marte kissi ek ko mila paani
Na bekason ke qareeb aaya bewafa paani
Tarap ke rahegaye bache na milsaka paani
Woh tarpey paani ko, unpe tarapgaya paani
Zameen jaldi ti hai har zara hai ek sharara hai
Mere ghareeb ko lakhon ne milke mara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain
Shaheed ho gaye Abbas o Qasim o Akbar
Vo mere Aon o Mohammed vo mere noor e nazar
Tujhe main doondho kahan bezuban Ali Asghar
Bathao bibion main ro,oon aaj kis kis par
Shaqi ne Sibte Payambar ka sar uthaara hai
Mere gareeb ko lakhon ne milke mara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain
Suhaag ujra kisi ka, kisi ki kok jalee
Kisi ka jal gaya damand, rida kisi ki chinee
Kisi ki maang me karbobala ki qakh parhee
Nabi ki aal hai zindan me ya Ali madadee
Jahan mai Zainab e dilgeer besahara hai
Mere gareeb ko lakhon ne milke mara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain