Kisko bedeeno ne maara ay zameene karbala
Hai payambar ka dulaara ay zameene karbala

Pani pani jab ke ho jayegi ye kehti tamaam
Ek tum ho hi kanara ay zameene karbala
Kisko bedeeno ne maara ay zameene karbala
Kis tarha kohdi lehad kya guzri dil par shaha ke
Jab ke Asghar ko utaara ay zameene karbala
Kisko bedeeno ne maara ay zameene karbala
Laa rahe hai shahe wala Asghar-e-Baysheer ko
Ya koi Quran ka paara ay zameene karbala
Kisko bedeeno ne maara ay zameene karbala
Lo chali maqtal ko ye kehti hoowi umme rabab
Mujko Asghar ne pukara ay zameene karbala
Kisko bedeeno ne maara ay zameene karbala
Baap peeri may uttah-tha hai jawan bete ki laash
De zara barhkar sahara ay zameene karbala
Kisko bedeeno ne maara ay zameene karbala
Dekhna turbat may Asghar ka zara rakhna khayal
Saare ghar ka hai dulaara ay zameene karbala
Kisko bedeeno ne maara ay zameene karbala
Ye batade kis tarha mayyat pe pahunche thay Hussain
Jab ke Akbar ne pukara ay zameene karbala
Kisko bedeeno ne maara ay zameene karbala
Le liye tune meri godhi ke paale boli maa
Ab karoon kyunkar guzaara ay zameene karbala