Shaam ka bazaar, Abid-e-Beemar
Paon main beri, thoq-e-garabaar
Shaam ka bazaar, Abid-e-Beemar
Bhoolega na wo manzar, naize pe sare Sarwar
Be maqnao be chadar, balve may phuphi madar
Aur majma-e-kuffaar, Abid-e-Beemar
Shaam ka bazaar, Abid-e-Beemar
Bazaaroon ki zebayi, kothon pe tamashayi
Aada ki saf-a-rahi, aur alam-e-tanhai
Vo bekas-o-laachar, Abid-e-Beemar
Shaam ka bazaar, Abid-e-Beemar
Darbar may sar uryan, aate hain haram giryan
Uthne laga ek toofan, mehshar kasa hai samaa
Jumbish may hai darbaar, Abid-e-Beemar
Shaam ka bazaar, Abid-e-Beemar
Kuch shimr se farmado, gardan meri khulwado
Sar baba ka dilwado, ya usko ye samjhado
Maare na sitamgaar, Abid-e-Beemar
Shaam ka bazaar, Abid-e-Beemar
Sar jaake uthaun main, ya paas bulaun main
Roodaad sunaun main, seene se lagaloon main
Dekhe bhara darbaar, Abid-e-Beemar
Shaam ka bazaar, Abid-e-Beemar
Kehne lagi pihr rokar, pyari hai agar dukhtar
Aajaye haaton par, sab dekhle ye manzar
Ulfat ka ho ye izhaar, Abid-e-Beemar
Shaam ka bazaar, Abid-e-Beemar
Dukhtar ki sada sunkar, is tasht-e-tila se sar
Godi main gaya uthkar, nadaan ne liptaakar
Sar par rakhe rukhsaar, Abid-e-Beemar
Shaam ka bazaar, Abid-e-Beemar
Jab baba ka sar paaya, dil bachi ka bhar aaya
Har zulm ko dohraya, logon ne jo sun paaya
Aankhein hui khoonbaar, Abid-e-Beemar
Shaam ka bazaar, Abid-e-Beemar
Zindan main anees-e-gham, karte hai haram matam
Maa poochti hai payham, kyon aankh hai ye purnam
Kya margayi dildaar, Abid-e-Beemar
Shaam ka bazaar, Abid-e-Beemar
Paon main beri, thoq-e-garabaar
Shaam ka bazaar, Abid-e-Beemar