Mere Bachchay Ki Aati Hai Mehndi

Loag karte hain kyun aaho zaari

Mere bachchay ki aati hai mehndi 


Koi dulha ki puhpiyon ko laao

Unki choti chachi ko bulao

Dher hoti hai jald aao wari

Mere bachchay ki aati hai mehndi


Meri baali Sakina kahan ho

Kyun nigaahon se ab tak nihaa ho

Neg leyjaoo baano ki pyaari

Mere bachchay ki aati hai mehndi


Jaake kehdo ye shah-e-zaman say

Koi Sughra ko laae watan say

Jaaein Akbar maangaye sawaari

Mere bachchay ki aati hai mehndi


Sunti ho Fatima ki khoonzaadi

Ghar mein do bhaiyon ke hai shaadi

Aaj jaagi hai qismat tumhari

Mere bachchay ki aati hai mehndi


Jaake sher-e-khuda ke nawaase 

Kehde dulha ke chote chacha say

Ghar mein shaadi ki rasme hai jaari

Mere bachchay ki aati hai mehndi


Koi qabre Hassan par yeh kehna

Dek to jaaein bete ka sehra 

Un ki furqat mein aansoon hai jaari

Mere bachchay ki aati hai mehndi


Bewa Shabbar ki rokar pukari 

Mere bachchay ki aati hai mehndi


Loag karte hain kyun aaho zaari

Mere bachchay ki aati hai mehndi 


Meri baali Sakina kahan ho

Kyun nigahon se ab tak nihaa ho

Neg lejaoo baano ki pyaari

Mere bachchay ki aati hai mehndi


Ay wazir eyk mehshar bapa tha

Sune wala har ek ro raha tha

Maa jo kehti thi ba aaho zaari

Mere bachchay ki aati hai mehndi


​Bewa Shabbar ki rokar pukari 

Mere bachchay ki aati hai mehndi