Zainab ka tha bayan gham utahnay ko reh gayee
Qunbe ke saath qaid mein jaanay ko reh gayee
Zainab ka tha bayan, gham utahnay ko reh gayee
Godi mein paal paal ke jinko bara kiya
Sehra mein unki qabrein banane ko reh gayee
Zainab ka tha bayan gham utahnay ko reh gayee
Bano ke ashq pochoon ke kubra ka saath doon
Eik eik ka main ranj bataanay ko reh gayee
Zainab ka tha bayan gham utahnay ko reh gayee
Sab mere chand naslion waale guzar gayay
Main qaid ho ke shaam main jaane ko reh gayee
Zainab ka tha bayan gham utahnay ko reh gayee
Jungle mein katgayi meri kheti hari bhari
Main badnaseeb khaak uraane ko reh gayee
Zainab ka tha bayan gham utahnay ko reh gayee
Bhai ko doon kahan se kafan, berida hoon main
Mayyat pe khaali ashk bahane ko reh gayee
Zainab ka tha bayan gham utahnay ko reh gayee
Akbar tho khuld mein gaye dulah baney huey
Ab yahan main kiska biyaha rachaane ko reh gayee
Zainab ka tha bayan gham utahnay ko reh gayee
Hamraaha Sheh ke jaati magar usko kya karoon
Thee jaan gham se hoton pe aane ko reh gayee
Zainab ka tha bayan gham utahnay ko reh gayee
Bazoo bandhe naqaab chinee dar-ba-dar pihree
Qunbe ka naam apne mitane ko reh gayee
Zainab ka tha bayan gham utahnay ko reh gayee
Manzil pe saare qafile wale pohonch gaye
Iss umr mein main tohkray kahne ko reh gayee
Zainab ka tha bayan gham utahnay ko reh gayee
Aisi bhi shaadiyaan hui hongi jahan mein kam
Qasim banney ki yaad zamane ko reh gayee
Zainab ka tha bayan gham utahnay ko reh gayee
Kya jaake abh kahoongi jo poochegi baap ko
Sughra ko main yeh shakl dikhane ko reh gayee