Tootay dillon ki aas hain mere Maula Abbas
Mazloom o bekas ki aas hain mere Maula Abbas

Sher e Khuda ke dulaare
Shabeer aur Shabbar ke pyaare
Aaqa mere Abbas, Ya Abbas!
Tootay dillon ki aas hain mere Maula Abbas
Mazloom o bekas ki aas hain mere Maula Abbas
Bachche hain khemon mein pyaase
Dethin hain maaein dilaase
Inki bujha do pyaas, Ya Abbas!
Tootay dillon ki aas hain mere Maula Abbas
Mazloom o bekas ki aas hain mere Maula Abbas
Sughra ne khat mein yeh likhaa
Abbas aaye na bhaiiyaa
Karbal kya aaya raas, Ya Abbas!
Tootay dillon ki aas hain mere Maula Abbas
Mazloom o bekas ki aas hain mere Maula Abbas
Chup aasman aur zameen hai
Sheh ka toh koi nahin hai
Tum ho magar Abbas, Ya Abbas!
Tootay dillon ki aas hain mere Maula Abbas
Mazloom o bekas ki aas hain mere Maula Abbas
Ro ro ke Zainab pukaaree
Dukhiya hoon aur gham ki maari
Aata hain yun waswaas, Ya Abbas!
Tootay dillon ki aas hain mere Maula Abbas
Mazloom o bekas ki aas hain mere Maula Abbas
Teeron ki baarish ne gheyraa
Har simt Maula ne dekhaa
Koi nahin tha paas, Ya Abbas!
Tootay dillon ki aas hain mere Maula Abbas
Mazloom o bekas ki aas hain mere Maula Abbas
Ro ro Sakeena pukarey
Kaanon se gohar utaarey
Sunte nahin Abbas, Ya Abbas!