Aaja Mere Dilbar, Meri Aghosh Me Aaja

Ta asr ka hangaam, falak qapraha tha
Zehra ka jigar bund laeeno me ghira tha
Teeron ka nishaana, ta Muhammad ka nawasa
Girthe hoowe muzloom ne madar ko pukaara
Abh ayeeyay amma, ke me girtha hoon zameen par
Zehra ki nidaan ayee ke, mojood hai maadar
Pehlaye hoon baahein, meri godhi me samaaja
Aaja mere dilbar, meri aghosh me aaja

Aflaq ko gardish he, zameen kaaprahi hai
Mehshar he bappa run me qayamat ki garhi hai
Zainab dhare khema pe pareshaan karhi hai
Kistarha bachaaye, tujhe kuch bass nahi chalta
Aaja mere dilbar, meri aghosh me aaja

Pyaasa he qayi roz se tu eh meri jaani
Daria ke karee rehe ke bhi paya nahi paani
Pyaasi gayi duniya se Muhammad ki nishaani
Kooza liye rothi he karhi dar pe Sakina
Aaja mere dilbar, meri aghosh me aaja

Cheene na layee Zainab-e-dilgeer ki chadar
Majboor hoon kuch bass nahi chalta mera dilbar
Inn aankhon se marthe tujhe dekoongi main kyunkar
Ronay lage Shabeer sunna ma ka jo nauha
Aaja mere dilbar, meri aghosh me aaja

Yeh zikr abhi ta ke laga teer galeypar
Thewra ke girre khak pe farzand-e-payambhar
Khanjar liye seene pe chara shimr-e-sitamghar
Sar katgaya Shabeer ka, kehti rahi Zehra
Aaja mere dilbar, meri aghosh me aaja