Wa Wayla Wa Hasrata Hussain

Wa wayla wa hasrata Hussain

Karti thi roro ke buka shaha ki humsheer
Wa wayla wa hasrata Hussain
Ho gayee bhin bhai ke abh Zainab-e-dilgeer
Wa wayla wa hasrata Hussain

Mere ghareeb-ul-watan, eh mere tashna dahan
Haye tere sookeh, gale pe chalee shamsheer
Wa wayla wa hasrata Hussain

Khaali bhara ghar hoowa, chingayee sarse ridha
Haye dikaayegi, mujhe kya yehi taqdeer
Wa wayla wa hasrata Hussain

Qatl kiya bekhata, sar kiya tanse juda
Zaalimo ne kesi, mitaayee teri tasveer
Wa wayla wa hasrata Hussain

Dur bhi chinhey bekhata, kurta bhi khoon se bhara
Koi bataye kya, Sakina ki thi taqseer
Wa wayla wa hasrata Hussain