Zainab Agayee Bhai

Lo Zindaan-e-shaam se chutkar
Zainab agayee bhai
Abh na yahan se ghar jayegi, lotke yeh majaaee
Zainab agayee bhai

Baad tere eysa loota ghar
Sarpe na chori ek ki chaadar
Cheen liya beemar ka bistar
Deti rahi meh duhaee
Zainab agayee bhai

Tareeki, raste anjaane
Dushman har soo neze thaane
Karbobala ke bunn meh na jaane
Kesi shaarm thi ayee
Zainab agayee bhai

Hasrat to thi jaane khwahar
Dethey ijaazat gar yeh sitamghar
Mayyat par kuch der taherkar
Roley thee majaaee
Zainab agayee bhai

Adaa legaye hum ko dar dar
Sar koleh beh muqna ho chadar
Kya boloon ek ek qadam par
Kis kis ki yaad ayee
Zainab agayee bhai

Korre jabh beema peh barse
Rothe the hum, sabh haste te
Hukm tera ta hum bebass te
Jhelgaye roosswaee
Zainab agayee bhai

Chalte chalte shaam jo pohnche
Kuch mat poocho bhaiya humse
Mowt thi behtar iss jeene se
Mowt magar na ayee
Zainab agayee bhai

Ghum se patta ja ta hai kaleja
Jaago baraadar, utto bhaiya
Leylo uss lachaar ka pursa
Shaam jissey chor ayee
Zainab agayee bhai

Teri yaad meh uss dukhiya ke
Aasoon ek na pal tham te the
Kissko pata to iss surat seh
Ussko milaygi rehaee
Zainab agayee bhai

Yaad teri jab aati thi vo
Rothi thi chilaati thi vo
Roz tamache kahti thi vo
Bahi teri shehdayee
Zainab agayee bhai