Qafila Ja Raha Hai Watan Ke Liye

Karbala meh qayamat ka eyk shor hai
Qafila ja raha hai watan ke liye
Koi roti hai apne jawan laal ko
Rorahi hai koi kumsookhun ke liye
Karbala meh qayamat ka eyk shor hai
Qafila ja raha hai watan ke liye

Apni barbaadion ko gawaara kiya
Khoon meh doobe guloon ka nazaara kiya
Dediaa Fatima ka bhara ghulsitaan
Karbala tere ujle chaman ke liye
Qafila ja raha hai watan ke liye

Qasr zalim kabhi, qaid khana kabhi
nok-e-neza kabhi, taziyaana kabhi
Konsi thi aziyat jo deena gayi
Har jafa thi asirey mayhan ke liya
Qafila ja raha hai watan ke liye

Jabh chale the madine se sabh saat te
Oan-o-Jaffar te Akbar te Abbas te
Jah rahi hoon madine to koi nahi
Abh musibat faqat hai bahan ke liye
Qafila ja raha hai watan ke liye

Qabr-e-Qasim se he, yeh mukhatib phuppi
Teri shaadi kuch istarha bann mah hoowi
Koi sehre ka bhi phool baaqi nahi
Varna lejaati qabr-e-Hasan ke liye
Qafila ja raha hai watan ke liye

Koi chaadar na thi, kesi bedaad thi
Haat hotey hoowey bhi na azaad thi
Kitni majboor kardi gayi thi bahan
Apna bahi ke dafan-o-kafan ke liye
Qafila ja raha hai watan ke liye

Koi roti hai apne jawan laal ko
Rorahi hai koi kumsookhun ke liye
Karbala meh qayamat ka eyk shor hai
Qafila ja raha hai watan ke liye