Asghar Mere Asghar

Turbat ko teri chorhke, maa jaati hai Asghar 
Asghar mere Asghar, Asghar mere Asghar 
Taa shab rahega yehi ek noha labon par 
Asghar mere Asghar, Asghar mere Asghar

Aayee jo gharhi asr ki, sar kat gaya Sheh ka 
Ghar lutgaya mera, sab qaid hai qunba
Kaano se bahen ki tere cheeney gaye gauhar
Asghar mere Asghar, Asghar mere Asghar

Zalim ne gauhar cheen ke mara hai tamacha
Rothi hai Sakina, dhey kaun dilasa
Daamand tak aaya hai lahoo kaano se behkar
Asghar mere Asghar, Asghar mere Asghar

Eh laal tere baba ko maaraa gaya kyunkar
Sajde mein they Sarwar, gardan pey tha khanjar
Maanga kiya paani woh jo tha dil ka samandar
Asghar mere Asghar, Asghar mere Asghar

Ab shimr ke durron se hamey kaun bachaaye
Koi nahin haye, zaalim se chudaye
Hai tera Chacha soya hua nehr ke upar
Asghar mere Asghar, Asghar mere Asghar

Din doobh gaya raat hui pehla andhera
Dil pahtha hai mera, hai door savera
Rothi hai Sakina, tere jhoole se lipatkar
Asghar mere Asghar, Asghar mere Asghar

Chalti hain hawaein tho dharahktha hai kaleja
Kuch lagta hai eysaa, tum rothey ho beta
Ghabraake chali aati hoon main kheme ke darpar
Asghar mere Asghar, Asghar mere Asghar

Rassi mein hamein dushman-e-deen jakrhe huey hain
Shaane bhi kasse hain, bazoo bhi bandhe hain
Tum hotey tho main goad mein lehtee tumhe kyunkar
Asghar mere Asghar, Asghar mere Asghar