Hur Ka Sar Hai, Zanoo-e-Shabeer Hai

Hur ka sar hai, zanoo-e-Shabeer hai
Marne waale, marne waale, kya teri taqdeer hai
Hur ka sar hai, zanoo-e-Shabeer hai

Khauf kya mehshar ka damandgeer hai
Haat mai jabh, haat mai jabh, damand-e-Shabeer hai
Hur ka sar hai, zanoo-e-Shabeer hai

Apne apnon ke to kaam aatey hai sabh
Par Ali, par Ali, maula-e-alamgeer hai
Hur ka sar hai, zanoo-e-Shabeer hai

Kyun na ho main hoon ghulaam-e-buturaab
Baagh-e-jannat, baagh-e-jannat, haan meri jaageer hai
Hur ka sar hai, zanoo-e-Shabeer hai

Gar hatado noor-e-ahlebait ko
Kaun si, kaun si, islam mai tanveer hai
Hur ka sar hai, zanoo-e-Shabeer hai

Naam hai mera azadaar-e-Hussain
Kaam mera, kaam mera, matam-e-shabeer hai
Hur ka sar hai, zanoo-e-Shabeer hai

Aapne jo khwaab dekha tha khalil
Karbala, karbala uss khwaab ki tabeer hai
Hur ka sar hai, zanoo-e-Shabeer hai

Dekh ummat dekhle Akbar ki laash
Yeh nabi, yeh nabi ki, khoon bhari tasweer hai
Hur ka sar hai, zanoo-e-Shabeer hai

Lash-e-Akbar dekhkar ma ne kaha
Khwaab kya, khwaab kya, dekhe the, kya tabeer hai
Hur ka sar hai, zanoo-e-Shabeer hai

Ek Ali ke thi gale main reesmaan
Ek Ali, ek ali ke, paoon main zanjeer hai
Hur ka sar hai, zanoo-e-Shabeer hai

Katt raha hai thegh sai Sheh ka gala
Aur baleen, aur baleen, parh kari hamsheer hai
Hur ka sar hai, zanoo-e-Shabeer hai

Hai Mujahid zikr-e-Sheh ka yeh sila
Teri shohrat, teri shohrat, aaj alamgeer hai
Hur ka sar hai, zanoo-e-Shabeer hai