Abid-e-beemar ka taboot hai

Abid-e-beemar ka taboot hai
Shaha ke ghumkhaar ka taboot hai
Abid-e-beemar ka taboot hai
Qafila salaar ka taboot hai
Deen ke meymaar ka taboot hai
Yeh uss heee beemar ka taboot hai
Syed-e-Sajjad ka taboot hai
Abid-e-beemar ka taboot hai

Jisspe tootin thi yeh aaffat nagaha
Jissne dekhe te masaib bekaran
Poosht par the jiske durron ke nishan
Jisske ghum me roraha tha aasmaan
Yeh uss hee ghumkhaar ka taboot hai
Abid-e-beemar ka taboot hai

Dekha jissne baap ka kat the gala
Jissne dekha ta sar-e-Zainab kulha
Jisska bahi run main pyassa margaya
Hasrata wa hasrata wa hasrata
Yeh uss hee lachaar ka taboot hai
Abid-e-beemar ka taboot hai

Yeh Imam-e-waqt tha jo margaya
Kaam jo mumkin na ta vo kargaya
Zehr dushman ki ragoon main bhar gaya
Jisski gheybat se zamana dargaya
Yeh uss hee jaraar ka taboot hai
Abid-e-beemar ka taboot hai

Sahib-e-qirdaar ko mera salaam
Shaha ke ghumkhaar ko mera salaam
Qafila salaar ko mera salam
Uss mahe anwar ko mera salam
Zaidi jiss karraar ka taboot hai
Abid-e-beemar ka taboot hai