Haq Kargaye Madar Ke Ada Saray kay Saray

Haq kargaye madar ke ada saray ke saray
Mamoo pe fida hogaye, Zainab ke dulaarey

Samjaati thi bacho ko barrhe pyar se Zainab
Bhoolai se na jaana kabhi, dariya ke kinaarey
Haq kargaye madar ke ada saray ke saray

Pyassi hai Sakina rahe har aan yehi dhyaan
Paani ka tasavur na ho zehno me tumhare
Haq kargaye madar ke ada saray ke saray

Ghoron se ghiro bhi tho sada, ran seh na deyna
Dehko main khafa hoongi jo, mamoo ko pukaarey
Haq kargaye madar ke ada saray ke saray

Meh kheme se dehkoon gi jari kaun hai tummeh
Lalkaar ke pehley jo ib,ne saad ko maareh
Haq kargaye madar ke ada saray ke saray

Vaadaa jo kiya ma se wafa kargaye dono
Pyasse hee laray, pyassay hee, duniya se sidhaaray
Haq kargaye madar ke ada saray ke saray

Paala tha jinnay gowd me voh jaa bassay ran me
Abh kaun hai Zainab ko jo ma kehke pukare
Haq kargaye madar ke ada saray ke saray

Mamoo pe fida hogaye, Zainab ke dulaarey
Haq kargaye madar ke ada saray ke saray