Baba Abhi Mat Jaeeye

Baba abhi mat jaeeye
Noha Sakina ka yeh ta
Ghabra raha hai dil mera
Baba abhi mat jaeeye

Ashoor ki jo shaam hai
Iss darja khoon aashaam hai
Zakhmi hai shaame karbala
Baba abhi mat jaeeye

Iss tarha se jeena kahan
Pihr aapka seena kahan
Seenay peh meh so loon zara
Baba abhi mat jaeeye

Qasim nahi Akbar nahi
Hadh hai Ali Asghar nahi
Ek din meh yeh kya hogaya
Baba abhi mat jaeeye

Mahole seh sehmi hoowi
Gorhe se thi lipti hoowi
Aur keh rahi thi bah raha
Baba abhi mat jaeeye

Khemon se uttehga dhuaan
Tootega ghum ka aasmaan
Looteingain hum ko ashqiyaan
Baba abhi mat jaeeye

Ashfaaq kese ho bayan
Vo ranj-o-ghum ki daastan
Bachi jab rokar kaha
Baba abhi mat jaeeye

Baba abhi mat jaeeye
Noha Sakina ka yeh ta
Ghabra raha hai dil mera
Baba abhi mat jaeeye