Afzal hai farishton se jo, vo no-e-bashar hoon
Meh Fatima Zehra ki duaoon ka asr hoon
Afzal hai farishton se jo, vo no-e-bashar hoon
Hai matum-e-Shabeer mera maqsad-e-taqleeq
Mera maqsad-e-taqleeq
Meh nakl-e-tamana-e-Muhammad ka samar hoon
Afzal hai farishton se jo, vo no-e-bashar hoon
Kehte te sar-e-razm yeh Abbas ke tevar
Yeh Abbas ke tevar
Shabeer pe aaanch, aah nahi sakti meh, agar hoon
Afzal hai farishton se jo, vo no-e-bashar hoon
Theg-o-tabar-o-teer-o-sina hee main pala hoon
Sina hee main pala hoon
Abbas hoon Abbas meh Haidar ka pisar hoon
Afzal hai farishton se jo, vo no-e-bashar hoon
Sarwar ki sada,on pe sada dehte te Akbar
Sada dehta te Akbar
Baba meh idhar hoon, meh idhar hoon, meh idhar hoon
Afzal hai farishton se jo, vo no-e-bashar hoon
Sheh kehte te eh noor-e-nazar pihrse sada do
Zara phir se sada do
Kuch soojta mujko nahi Akbar meh, idhar hoon
Afzal hai farishton se jo, vo no-e-bashar hoon
Meh kya karoon beta ke mera bass nahi chalta
Mera bass nahi chalta
Parte hai qadam jaane, kahan rakta qidar hoon
Afzal hai farishton se jo, vo no-e-bashar hoon
Peeri me uttaoonga jawan laal ka lasha
Jawaan laal ka lasha
Zinda meh issi din ke liye jaane pidar hoon
Afzal hai farishton se jo, vo no-e-bashar hoon