Mere Asghar Aagayee Shaam

Chhor ke turbat ghar mein aa ja, goad mein kar aaraam, oh Asghar

Mere Asghar aagayee shaam

Baano dukiya karti hai noha, khemey main hai kohraam, oh Asghar

Mere Asghar aagayee shaam


Shaam e Gareebaan pehli huwi hai

Masnad e Zainab khaak bani hai

Tujhko dhoonde teri Sakina

Paani ka le kar jaam, oh Asghar

Mere Asghar aagayee shaam


Dil se tujko kese bhulaoon

Aank se aasoon kyun na bahaoon

Jaagte sote mere labhon par

Aye tera naam, oh Asghar

Mere Asghar aagayee shaam


Mat bhoolo ulfat ke qareeney

Ghutniyon chalkar aaow Madine

Khat mein likh kar bheja hai tumko

Sughra ne paighaam, oh Asghar

Mere Asghar aagayee shaam


Karbobala se kufay chaloongi

Shaam ki mushkil bhi jehloongi

Jungle jungle, sehra sehra

Loongi tera naam, oh Asghar

Mere Asghar aagayee shaam


Gehre huwey hain shaam ka lashkar

Tanha hai maidaan main Sarwar

Sara haal batana jaakar

Dadi ko karke salaam, oh Asghar

Mere Asghar aagayee shaam


Ghush mai hai Zainab, Laila hai muztar

Rukhsat hokar jaate hain Sarwar

Lipti huwi hai Sheh se Sakina

Barpa hai kohraam, oh Asghar

Mere Asghar aagayee shaam


Maa ko aakar rukhsat kar do

Aakhon ke saagar ashkon se bhar do

Qaidi bankar Karbobala se

Jaatey hain hum Shaam, oh Asghar

Mere Asghar aagayee shaam


Jal gaye khemey lutgaya jhula

Aha karoon toh parta hai durra

Subha se shab tak, shab se saher tak

Rona hai mera kaam, oh Asghar

Mere Asghar aagayee shaam


Neend ayee hai rotey rotey

Chaunk na parna sotey sotey

Dil ma ka darta hai beta

Jungle ki hai shaam, oh Asghar

Mere Asghar aagayee shaam


Jhulay main machla, goad main nikla

Bijli bankar fowj pe toota

Mere sipahee tu ne bachaya

Nana ka Islam, oh Asghar

Mere Asghar aagayee shaam


Mahir hai Bano ke naale

Goad main meri kyon nahi aatey

Raat ke sannaatey main beta

Kaisai mila aaraam, oh Asghar

Mere Asghar aagayee shaam