Batao Kazmain chalo, Saamira chalo
Mashhhad chalo, Najaf ko chalo, Karbala chalo
Woh dorr-e-hubb-e-aahle payambhar chala chalo
Saaki pukaarte hain ke ehle wila chalo
Inn mainqado main milta hai, aabe baka chalo
Dono jahan mai jisska rahega nasha chalo
Harr jaam mai hai maareyfate qibriya chalo
Kausar se jaan milla hai yehi raasta chalo
Naqshe qadam pe shaha ke ahl-e-aza chalo
Jannat nahi hai door qadam ko barha chalo
Bass Karbala se tora sa he faasila chalo, Karbala chalo
Naqshe qadam pe shaha ke ahl-e-aza chalo
Barzak ka aur siraat ka abh khauf kya chalo
Chauda hai rehbari ke liye rehnuma chalo, Karbala chalo
Naqshe qadam pe shaha ke ahl-e-aza chalo
Haq kehra hai jamma hai chaadar main panjatan
Jibreel leyke aya hai ehle kissa chalo, Karbala chalo
Naqshe qadam pe shaha ke ahl-e-aza chalo
Utto bara-e-matam-e-shahe huda chalo
Halmin ki arahi he abhi tak sada chalo, Karbala chalo
Naqshe qadam pe shaha ke ahl-e-aza chalo
Islam vaalon tumko agar haq ki he talaash
Aow humaare saat soo-e-Karbala chalo, Karbala chalo
Naqshe qadam pe shaha ke ahl-e-aza chalo
Abbas ko jo dekha to boley yeh ashqiyaan
Baagho vo dekho aagaye shere khuda chalo, Karbala chalo
Naqshe qadam pe shaha ke ahl-e-aza chalo
Aapas main kehrahe te yeh Zainab ke dono laal
Suey wudhoo misaal shahe lapata chalo, Karbala chalo
Naqshe qadam pe shaha ke ahl-e-aza chalo
Sheh ne kaha bahan se yeh hai mariziey khuda
Neze pe sar hamara ho tum berida chalo, Karbala chalo
Naqshe qadam pe shaha ke ahl-e-aza chalo
Subhe dahum yeh Hur ko muqaddar ne di sada
Abh Sheh se baksh waane ko apni khata chalo, Karbala chalo
Naqshe qadam pe shaha ke ahl-e-aza chalo
Sughra ke paas aake yeh Shabeer ne kaha
Asghar bulaa rahe hai tumhe Karbala chalo, Karbala chalo
Naqshe qadam pe shaha ke ahl-e-aza chalo
Gardan se teer kench ke Asghar se bole Shah
Maa muntazir he kheme main hain, mehlaka chalo, Karbala chalo
Naqshe qadam pe shaha ke ahl-e-aza chalo