Ro ro ke karti ti Sakina buka, soh rahe kya nehr pe jaakar Chacha
Pyass sey dum hoton pe aya mera, leena Sakina ki khabr mutlaqa
Ro ro ke karti ti Sakina buka, soh rahe kya nehr pe jaakar Chacha
Khoob khabar lee meri
Wah Chachajaan Wah
Marti hai yeh ghumzadi
Wah Chachajaan Wah
Mashq na layey meri
Wah Chachajaan Wah
Haaton main zeba yehi
Wah Chachajaan Wah
Khemey mai kab tak mujhe tarsaogay, mashq meri nehir se kab laogay
Moon seyna boloongi agar aogay, ro,oongi gar seene say lipta liya
Ro ro ke karti ti Sakina buka, soh rahe kya nehr pe jaakar Chacha
Kyun na mera dil jale
Wah Chachajaan Wah
Jaake na abtak pihre
Wah Chachajaan Wah
Khoob daga deygaye
Wah Chachajaan Wah
Kehte hain ulfat issey
Wah Chachajaan Wah
Chaldiye aafat main mujhe chorkar, kya milla Baba ki kumar torkar
Ro,oon na kistarha mai sar porkar, toot gaya hayey mera aasira
Ro ro ke karti ti Sakina buka, soh rahe kya nehr pe jaakar Chacha
Soh rahe tum nehir par
Wah Chachajaan Wah
Kargaye barbaad ghar
Wah Chachajaan Wah
Poochee na meri khabar
Wah Chachajaan Wah
Kargaye chu ke safar
Wah Chachajaan Wah
Mai tho yeh samjhi thi ke abh ayeingain, paani bhatiji ke liye layeingain
Yeh na khabar thi mujhe tarsaayeingain, haat kata ayeingain jaakar chacha
Ro ro ke karti ti Sakina buka, soh rahe kya nehr pe jaakar Chacha
Jaane fida kargaye
Wah Chachajaan Wah
Mashq chida kargaye
Wah Chachajaan Wah
Dil ko duka kargaye
Wah Chachajaan Wah
Mujse yeh kya kargaye
Wah Chachajaan Wah
Pyass se abh jism main haalat nahi, zabt-e-fughan ki mujhe taakat nahi
Hayey koi jeeney ki surat nahi, mai bhi bass abh hoti hoon tumpar fida
Ro ro ke karti ti Sakina buka, soh rahe kya nehr pe jaakar Chacha
Nehir pe tum margaye
Wah Chachajaan Wah
Fatima ke ghar gaye
Wah Chachajaan Wah
Saat na lekar gaye
Wah Chachajaan Wah
Chor ke kisspar gaye
Wah Chachajaan Wah
Rooti hoon mai uttke manaate nahi, chaahti sai abh apni lagaate nahi
Pyass bhatiji ki bhoojaate nahi, kya huwi ulfat meri tumpar fida
Ro ro ke karti ti Sakina buka, soh rahe kya nehr pe jaakar Chacha
Jaake na abhtak pihre
Wah Chachajaan Wah
Hoon mai fida aap ke
Wah Chachajaan Wah
Pyass bhujha kar gaye
Wah Chachajaan Wah
Kehta hain ulfat isse
Wah Chachajaan Wah
Haaton se paband-e-qaza hogaye, tum meri surat sai khafa hogaye
Pyari bhatiji se juda hogaye, mujse khafa hoke na jao chacha
Ro ro ke karti ti Sakina buka, soh rahe kya nehr pe jaakar Chacha
Marti hai yeh dil ka baab
Wah Chachajaan Wah
Dehte nahi kuch jawab
Wah Chachajaan Wah
Beti pe itna ataab
Wah Chachajaan Wah
Abh na mai maoongi aab
Wah Chachajaan Wah
Dehr main durvaish ki kya aan baan, teri inaayat se he shokat ki shaan
Hai yeh dua aye jo hooton pe jaan, naam na loon aur ka tere siva
Ro ro ke karti ti Sakina buka, soh rahe kya nehr pe jaakar Chacha