Wednesday, November 4, 2015

Kehti thi yeh maa khoon bhari mayyat se lipatkar

Kehti thi yeh maa khoon bhari mayyat se lipatkar
Haye haye Ali Akbar

Armaan tha pehnaoongi poshaak shahani
Afsos ke raas ayee na tujko ye jawani
Kesa tha muqaddar
Haye haye Ali Akbar

Attara baras paal ke parvaan charhaya
Vo gehsuon wala he mera khoon me nahaya
Yeh kya hoowa dilbar
Haye haye Ali Akbar

Maa teri judayee main bhala kese jeeyegi
Marjayegi Sughra jo khabar teri sunegi
Abh kya karoon dilbar
Haye haye Ali Akbar

Tehro ke me attarvi manat tho barha loon
Pihr leke baalaye tujhe jeene ki dua doon
Sadqe ho yeh madar
Haye haye Ali Akbar

Pehle to ek awaaz pe utt jaate the beta
Abh itni sadaoon pe bhi pehlu nahi badla
Kya hogaya dilbar
Haye haye Ali Akbar

Tum hichkiyaan le le ke jo dum tor rahe ho
Moon maa se humesha ke liye mor rahe ho
Kyun roote ho dilbar
Haye haye Ali Akbar

Aye jo humain lootne kheme main sitamghar
Maa degi sada aye Ali Akbar Ali Akbar
Chinn jayegi chaadar
Haye haye Ali Akbar

Jabh koi jawan laash nazar aati he mehshar
Eyk yaad sooay Karbobala jaari he mehshar
Dil rota he kehkar
Haye haye Ali Akbar


https://youtu.be/pZ_FilU2GNU



[ Urdu Lamentations: Nohay, Salaam, Marsia, and more | Duas & Amaal ]

Rukjao aye Sakina

Tumse bichar ke ma ka
Mushkil bohot he jeena
Ma ko bhi saat lelo
Rukjao aye Sakina

Har simt he andhera,
Har raha purkhatar he
Dushman he chaar jaanib, dil main chupaye keena
Rukjao aye Sakina

Kah kah ke tum tamache,
Ghabra gayee ho shayad
Taa shaam seek jao, bhi aasoo on ko peena
Rukjao aye Sakina

Aajao me sulaadoon,
Sar zanoo on pe rak kar
Zakhmi bohot he bibi, tere pidar ka seena
Rukjao aye Sakina

Amoo ko jaane madar
Iss tarha muth sada do
Abbas ki jabeen par, ajayega paseena
Rukjao aye Sakina

Rukh par lahoo jama he
Kaano se khoon he jaari
Beta tarap utteyga, jaane shahe Madina
Rukjao aye Sakina

He qaide shaam ki abh,
Tanhaiyaan muqaddar
Bibi naseeb tere, meh abh nahi Madina
Rukjao aye Sakina

Yeh bekassi yeh ghurbat
Yeh dasht nenava ka
Dooba kahan he aakar, taqdeer ka safina
Rukjao aye Sakina

Ma ko bhi saat lelo
Rukjao aye Sakina


https://youtu.be/z7uai9XRjf0




[ Urdu Lamentations: Nohay, Salaam, Marsia, and more | Duas & Amaal ]

Zainab ne kaha peet ke sar

Watan me bewatano ka, jo qafila aya
To har taraf se utta show va Husseina ka
Mehela-e-bani Hashim ki, aurton ne sunna
Nikal ke apne gharon se chaleen ba aho buka
Nabi ke roze pe, qunba Rasool ka, pohncha
Magar kissi ne na Zainulabba ko pehchana
Kareeb agayeen itne me Fatima Sughra
Nazar jo qafile wallon pe ki to kya dekha
Na lashkar he
Na sippha he
Na kasratunaas he
Na Qasim he
Na Ali Akbar he
Na Abbas hai
Zainab ne kaha peet ke sar, qabr-e-nabi par,
Main ayeen  hoon lootkar
Taraj hoowa Fatima Zehra ka bhara ghar
Main ayeen hoon lootkar

Ummat pe fida hogaya, nana ka nawasa,
Do roz ka pyassa
Shabeer ki ghardan pe chala shimr ka khanjar
Main ayeen hoon lootkar

Soh tha he tarayee pe kataye hoowe baazoo
Dil par nahi qaboo
Vo sher sa bahi mera Abbas-e-dilavar
Main ayeen hoon lootkar

Vo garm zameen Oan-o-Muhammad ke vo lashe
Hi hi mere bache
Allaha kissi ma ko dikaye na ye manzar
Main ayeen hoon lootkar

Ummat ne Nabi Zaadiyoon par rehm na kaya
Khemon ko jalaya
Jalta hoowa chor ayeen hoon, gehwara-e-Asghar
Main ayeen hoon lootkar

Makhtal se chali koocha-e-bazaar se guzri
Bekas ki savari
Dek ayeen bahan bahi ka sar noke sina par
Main ayeen hoon lootkar

Baba ko bulaati rahi, ro ro ke Sakina
Ya Shahe Madina
Zindaan me qaza kargayee, Shabeer ki dukhtar
Main ayeen hoon lootkar

Sahir yehi keh keh ke tarap ti rahi Zainab
Roti rahi Zainab
Noha tha yehi Saniye Zehra ki zubaan par
Main Ayeen hoon lootkar

Zainab ne kaha peet ke sar, qabr-e-nabi par,
Main ayeen  hoon lootkar


https://youtu.be/ZBhUja_tZVw




[ Urdu Lamentations: Nohay, Salaam, Marsia, and more | Duas & Amaal ]

Sunday, November 1, 2015

Ya Zahra

Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra

Aye meri bibi....., aye meri bibi, tere dar pe istighasa he
Tera mamnoon meri shehzaadi ye jahan sara hai

Tu humme hifz aur amaan dede, apni chadar ke saibaan dede
Teri qudrat main kya nahi bibi, tu jisse chahe do jahaan dede
Ya Zahra, Ya Zahra
Aye meri bibi....., aye meri bibi, aansuon main dua maangi he
Teri tasbhi hi parke dil ne tujhe pukaara hai
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra

Tera darbaar wo sakhi dar he, har farishta jahaan gadaagar he
Tere makrooz asmaan waale, tera makrooz har sikandar hai
Ya Zahra, Ya Zahra
Aye meri bibi....., aye meri bibi, tu sakhi hai tere bache bhi
Ek raahi nahi gawaahi me jag ye saara he
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra

Karz makrooz ka adaa karde, muflison ka naseeb wa karde
Jinki godhi bhari nahi bibi, unko awlaad tu ataa karde
Ya Zahra, Ya Zahra
Aye meri bibi....., aye meri bibi, bas tuhi muraad deti hai
Teri chaukat dar-e-Ilahi ka istiaaraa he
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra

Farz-e-momin se ghum juda karde, bass ghum-e-karbala ataa karde
Bekhataa qayd me he jo momin, mojizey se unhe rihaa karde
Ya Zahra, Ya Zahra
Aye meri bibi....., aye meri bibi, ghum koi Hussainiyo ko na de
Jo Hussaini he tere baba ko jaan se pyaara hai
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra

Un shaheedon ka yeh muqadar he, saibaan inka teri chadar he
Unke seeno pe aye meri bibi, daaghe maatam nishaane haider he
Ya Zahra, Ya Zahra
Aye meri bibi....., aye meri bibi, khuld main shaheed jab jaye
Teri awaaz aaye aane do ye hamaara hai
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra

Majlis-e-ghum main ashk barsaane, aasake ya nahi khuda jaane
Kya bharosa humaari saanson ka, abh kahaan hum kahaan azaakhaane
Ya Zahra, Ya Zahra
Aye meri bibi....., aye meri bibi, ashke ghum teri amaanat he
Teri aulaad ke hi ghum ne humme sawaara he
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra

Tujhko ummat ne yu sataaya he, marghe mohsin pe bhi rulaaya he
Tujhko baba ke baad ummat ne, haaye darbaar me bulaaya he
Ya Zahra, Ya Zahra
Aye meri bibi....., aye meri bibi, kitne sadme uthaye he tune
Ji te ji tujko meri shehzadi ghum ne maara he
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra


https://youtu.be/tEMCJrZh82A




[ Urdu Lamentations: Nohay, Salaam, Marsia, and more | Duas & Amaal ]