Saturday, October 31, 2015

Oh mere laal kahan

Oh mere laal kahan

Hi jungle ka vo sunnaata, vo purhaul fizaan
Aur eyse me kissi toote hoowe dil ki sada
Jese bichri koori aulaad ko, dhoonde koi ma

Tum gaye jabse ajab haal he beta mera
Koi surat se nahi kalb samhalta mera
Gowd ujri to nazar aata he jhula veeraan

Khudba khud haat uthe jaate hain lene ko tumhe
Kabse bechain hoon me loriyaan dene ko tumhe
Hogayi raat bass abh gowd me aow meri jaan

Kisski agosh he iss bun me basayee beta
Neend kistarha mujhe chor ke ayee beta
Ma ko bhi paas bulaa lo vahan so te ho jahan

Zakhm gardan ka khuda jaane dulaya ke nahi
Jism se khoon bhara kurta vo utara ke nahi
Kya lahoo zakhm se nawak ke abhi tak he rawan

Kya batayain jo sitam humne utaye beta
Kheme sab aake layeenon ne jalaye beta
Dekho jhule se tumhare abhi utt tha he dooha

Subha hogi tho khuda jaane sitam kya hoga
Yeh suna he ke naye dayss me jana hoga
Choot kar qaid se kya jaane kab ana ho yahaan

Oh mere laal kahan


https://youtu.be/O8EO_SBgtWo




[ Urdu Lamentations: Nohay, Salaam, Marsia, and more | Duas & Amaal ]

Abh kis ka intezaar hai, utto Sakina ghar chalo

Abh kis ka intezaar hai, utto Sakina ghar chalo
Tum par phupi nisaar hai, utto Sakina ghar chalo

Shaam-e-gharibaan agayee, ghum ki seeaee chahgayee
Bajte hain baaje foj main, khatm larayee hogayee
Lootne ka intezaar hai, utto Sakina ghar chalo

Beythi ho Bibi khaak par, utto eh meri neem jaan
Amoo tumhare khuld se, lene na aayenge yahan
Kesa yeh haal zaar hai, utto Sakina ghar chalo

Nanni si jaan par isqadar, shimr laeen ki sakhtiaan
Sooje hoowain hain hownt bhi, poohli hoowi hain oongliyaan
Damand bhi taar taar hai, utto Sakina ghar chalo

Sarpe he shab ki teergee, kab tak yahan par ro ogi
Baba ka tan kuchul gaya, seene pe kisske so ogi
Zakhmi vo jism zaar hai, utto Sakina ghar chalo

Amoo tumhare nehir par, shaane kata ke soh gaye,
Baba ko dhoondh thi ho kya, Baba bhi run main soh gaye
Ek hashr ka shikaar hai, utto Sakina ghar chalo

[ Urdu Lamentations: Nohay, Salaam, Marsia, and more | Duas & Amaal ]

Rokar Sakina Shaam ke zindaan main margayee

Rokar Sakina Shaam ke zindaan main margayee
Bano ke dil pe goya qayaamat guzar gayee

Aal-e-Nabi pe tooti, qayaamat thi Shaam main
Abbas ki chahiti, Sakina guzargayee

Shimr-e-layee ne cheene, the gohar kuch is tarha
Nanni kameez khoon main, Sakina ki bhar gayee

Zainab tarap ke reh gayeen, poocha Sakina ne
Sar se phupi tumhare, rida kyun uttar gayee

Zindaan main jab Sakina, ne paya sar-e-Hussain
Moon par pidar ke moon ko, rakha aur margayee

Abto Yazid soyega raton ko chain se
Roti thi rozo shab jo, vo bachi guzar gayee


https://youtu.be/T8jIw19a4bg




[ Urdu Lamentations: Nohay, Salaam, Marsia, and more | Duas & Amaal ]

Ya Rab koi Masooma

Ya Rab koi Masooma, zindaan main na tanha ho
Paband na ho ahein, ronay pe na pehra ho

Thee jisko neend aati, Shabeer ke seene par
Zindaan dar-e-zindaan, usske liye qaza ho

Zindaanon se aati thi awaaz sisakne ki
Jaise ke Sakina ko, har zindaan roraha ho

Takraye na woh kyunkar zindaan ki deewaroon se
Bhai se aur phuphi se, jisko juda kiya ho

Zindaan main aye Najfi, yaad ayee Sakina ki
Dil roro keh raha hai, ab na ujaala ho

https://youtu.be/E1CjmGOzs9E




[ Urdu Lamentations: Nohay, Salaam, Marsia, and more | Duas & Amaal ]

Maula Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain

Maula Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain

Vo Abid-e-beemar tha, chalne se jo lachaar tha
Aur Shaam ka bazaar tha, aur Mustufa ki betiyaan

Shabeer ki vo ladli, seene pe Shah ke palli
Jisski aba bun main jalli, moon par tamachon ke nishaan

Vo Asghar-e-beshir tha, aur hurmula ka teer tha
Nanna gala kyuunkar kata, larzi zameen aur asmaan

Vo bawafa Abbas tha, dukion ki jo eyk aas ta
Paani liya par na piya, masoom ka ehsaas tha

Vo Zainab-o-Kulsoom thi, chadar se jo mehroom thi
Namehramon ke darmiyaan, aur murtaza ki betiyaan

Shaam-e-gharibaan agayee, Abid ko ghairat kahgayee
Balve main Zainab agayee, Abbas aur Akbar kahaan


https://youtu.be/uWE70wFd2xY




[ Urdu Lamentations: Nohay, Salaam, Marsia, and more | Duas & Amaal ]

Zainab lipat ke royeen, Abbas kay alam se

Zainab lipat ke royeen, Abbas kay alam se

Sehdaaniyaan thi muztar, chehre the zard ghum se
Zainab lipat ke royeen, Abbas kay alam se

Lipti hoowi alam se, kethti thi binte Zehra
Iss waqt bekassi main, Abbas bichre hum se

Bachi ne maa se poocha, kyuun itna rorahee ho
Amoo nahi milayngain, kya pihr na aake humse

Baba Chacha kahan hain, laye ho kyun alam ko
Yeh pooch thi thi bachi, lipti shahe umam se

Abbas margaye hain, sunkar khabar yeh Sheh se
Tasweer-e-yas-o-hasrat, har Bibi thi alam se

Ulfat ki aur wafa ki, zinda misaal bankar
Mashqay Sakina abh bhi, he munsalik alam se

Bhai se bhai bicheray, jisska to usski haalat
Dard aashna se poocho, ya pihr Anees-e-ghum se


https://youtu.be/C0XfGBkKi_k




[ Urdu Lamentations: Nohay, Salaam, Marsia, and more | Duas & Amaal ]

Sorahe hain sab mere vaali o dilbar raith par

Sorahe hain sab mere, vaali o dilbar raith par
Bano baythi hi rahegi, zindagi bhar raith par

Hoti chadar saya karti hi kitni dhoop hai
Soraha he aag ke maidaan me Akbar raith par

Pyaas me bachon ki kuch ho jaati thi shidat siva
Pehnk dhe the jab adhu paani dikha kar raith par

Jhula tera jal gaya to kya hua aye mere laal
Loriyaan doongi tujhe ajaa litaakar raith par

Baap ke seene pe sar rakh kar jise aati ho neendh
Kese soay Shaha ki wo nani dukhtar raith par

Shaam ke raaste main sar Shabeer ka uss dam ruka
Gir gayee naaqe se jab Bano ki dukhtar raith par

Hongi aasa mushkilay aur ziarate Shabeer bhi
Jab Anees hoga lahad main, tera bistar raith par






[ Urdu Lamentations: Nohay, Salaam, Marsia, and more | Duas & Amaal ]

Karbal ki kahani jab koi bhi sunayega

Karbal ki kahani jab, koi bhi sunayega
Dil waalon ki ankhon se, eyk daria bahaega
Zehra Zehra masoomon ka pursa lo

Vo caravan sarwar ka, jo shaan se nikla tha
Sughra ko khabar kya thi, na lowt ke ayega
Zehra Zehra pursa lo shaheedon ka

Mehmaan bulaaya hai, eh koofion sarwar ko
kya qunba shahedeen ka, paani nahi payega
Zehra Zehra pursa lo bahatar ka

Jab ghoron ki tappon se, pamal huway Qasim
Kiss tarha chacha teri, mayyat ko uthayega
Zehra Zehra Qasim ka bhi pursa lo

Tha shaano ke katna ka, kuch ghum na dilawar ko
Seydaaniyon ka parda, abh kaun bachayega
Zehra Zehra Abbas ka pursa lo

Tooti hai kamar Sheh ki, ghubhrana nahi Akbar
Farzande-e-Nabi tere, lashe ko uthayega
Zehra Zehra Akbar ka bhi pursa lo

Sote na the tum Asghar, jhule main tarapte the
Duniya ko khabar kya thi, ek teer sulayega
Zehra Zehra Asghar ka bhi pursa lo

Sarvar ne uthayee theen, sabh saathiyon ki laashen
Shabeer tera laasha, abh kaun uthayega
Zehra Zehra Shabeer ka pursa lo

https://youtu.be/AsWC66iDmZ0




[ Urdu Lamentations: Nohay, Salaam, Marsia, and more | Duas & Amaal ]

Pukari laash pe Zehra, mere Hussain Hussain

Pukari laash pe Zehra, mere Hussain Hussain
Kafan bhi tu ne na paya, mere Hussain Hussain

Iss hee liye tuje paala tha Fatima ne kya,
Para he dhoop main laasha, mere Hussain Hussain

Nishaan gale pe garibaan ka shaq tha mujko,
Gala vo thegh se kaata, mere Hussain Hussain

Batool ne tumhe paala tha pees kar chakki,
Falak ne kyun tumhe peesa, mere Hussain Hussain

Mere ghareeb mere faqakash mere pyaase,
Mere shaheede tamana, mere Hussain Hussain

Meh ayee hoon tere rone ko khuld se beta,
Mujhe de utt ke dilasa mere Hussain Hussain

Bassi hai shaam ki basti Madina veeraan hai,
Mazaar hai mera soona, mere Hussain Hussain

Pukari...

https://youtu.be/I2a4ECdnUKo





[ Urdu Lamentations: Nohay, Salaam, Marsia, and more | Duas & Amaal ]