Ashur ka suraj hai, qayamat ki garhi hai
Bhai ka galaa kat tha bahan dekh rahi hai
Maqtal me kisi maa ki sadaa goonj rahi hai
Aa eh mere Hussain meri goad me aaja
Aaja mere bache meri aghosh me aaja
Mere liye eh laal tu Asghar ki tarha he
Goadi meri gehwaara hai bistar ki tarha hai
Is dhoop may daman mera chadar ki tarha hai
Aa eh mere Hussain meri goad me aaja
Aaja mere bache meri aghosh me aaja
Main maa hu mera dil, nahi seene me sambhalta
Nazuk ye badan tera ye jalta huwa sehra
Aur is pe sitam yeh hai ke tu rehgaya pyaasa
Aa eh mere Hussain meri goad me aaja
Aaja mere bache meri aghosh me aaja
Main goad may leyloon, tujhe sinay se lagaa loon
Sinay pe Sakina ki tarha tujko sulaa loon
Sinay ke tere teer main palko se nikaloon
Aa eh mere Hussain meri goad me aaja
Aaja mere bache meri aghosh me aaja
Aakar mere zanoo pe jo sojaa the the beta
Chakki ki mushakkat ke bhi pehlu nahi badlaa
Abh kese tujhe chorhdoon maqtal me akela
Aa eh mere Hussain meri goad me aaja
Aaja mere bache meri aghosh me aaja
Teri bhi tho awlad he tu bhi to padar hai
Awlad ka gham kya hai yeh tujhko bi khabar hai
Gham bachche ka sehjaye ye kis maa ka jigar he
Aa eh mere Hussain meri goad me aaja
Aaja mere bache meri aghosh me aaja
Kyun leytgaya thak ke tu iss jalti zameen par
Ye kiska lahu tunay mallaa ruhey haseen par
Mat khakh pe soh laal, teri maa hai yaheen par
Aa eh mere Hussain meri goad me aaja
Aaja mere bache meri aghosh me aaja
Jo dil pe tere guzri meh subh dekh-e rahi thi
Har lash utaahne meh teray sath gayi thi
Ab baath wo kehti hoon jo bachpan main kahi thi
Aa eh mere Hussain meri goad me aaja
Aaja mere bache meri aghosh me aaja
Nohay main bayaan kaise karein Sarwar-o-Rehaan
Padh sakta nahi koi bhi yeh dard ka qur'aan
Maa kehti thi rehjaaye na dil meh mere armaan
Maa kehti thi rehjaaye na dil meh mere armaan
Aa eh mere Hussain meri goad me aaja
Aaja mere bache meri aghosh me aaja